Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ko nind mili to kisi ko KHwab mila

Navin Joshi

kisi ko nind mili to kisi ko KHwab mila

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    kisī ko niiñd milī to kisī ko ḳhvāb milā

    har ik bashar ko yaañ mauqa-e-intiḳhāb milā

    vo naap taul ke paayā thī aarzū jis

    nahīñ thī aarzū jis vo be-hisāb milā

    khulā milā koī chehra Dhakā milā koī

    sabhī zaat pe ham ko magar hijāb milā

    naqāb itne haiñ chehra bhuul jā.eñge

    agar vo shīsha-e-dil meñ na be-naqāb milā

    rahe savāl to be-ḳhauf hamāre magar

    savāl se hameñ sahmā har javāb milā

    sabhī azāboñ se pahle ye zindagī thī milī

    sabhī azāboñ se pahle yahī azaab milā

    is iztirāb ke sahrā meñ hai sukūñ gumāñ

    milā bhī tishnagī ko to yahī sarāb milā

    kisi ko nind mili to kisi ko KHwab mila

    har ek bashar ko yan mauqa-e-intiKHab mila

    wo nap taul ke paya thi aarzu jis ki

    nahin thi aarzu jis ki wo be-hisab mila

    khula mila koi chehra Dhaka mila koi

    sabhi ki zat pe hum ko magar hijab mila

    naqab itne hain chehra hi bhul jaenge

    agar wo shisha-e-dil mein na be-naqab mila

    rahe sawal to be-KHauf hi hamare magar

    sawal se hamein sahma sa har jawab mila

    sabhi azabon se pahle ye zindagi thi mili

    sabhi azabon se pahle yahi azab mila

    is iztirab ke sahra mein hai sukun ka guman

    mila bhi tishnagi ko to yahi sarab mila

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now