kisi se KHafa main hua hi nahin
kisī se ḳhafā maiñ huā hī nahīñ
kabhī mujh ko ye haq milā hī nahīñ
ravāñ yūñhī rahnā hai merā nasīb
bikhar jā.ūñ itnī havā hī nahīñ
ka.ī baar guzrā barābar se maiñ
use merā dhokā huā hī nahīñ
jo duniyā ne tai kī hai mere liye
kiye kī mire vo sazā hī nahīñ
ruke hī kahāñ saañs lene ko ham
jo us ne kahā vo sunā hī nahīñ
kisi se KHafa main hua hi nahin
kabhi mujh ko ye haq mila hi nahin
rawan yunhi rahna hai mera nasib
bikhar jaun itni hawa hi nahin
kai bar guzra barabar se main
use mera dhoka hua hi nahin
jo duniya ne tai ki hai mere liye
kiye ki mere wo saza hi nahin
ruke hi kahan sans lene ko hum
jo us ne kaha wo suna hi nahin
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 61)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.