Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi tartib mein rakkhi na bikharne di hai

Qasim Yaqub

kisi tartib mein rakkhi na bikharne di hai

Qasim Yaqub

MORE BYQasim Yaqub

    kisī tartīb meñ rakkhī na bikharne hai

    maiñ ne ye zindagī bekār guzarne hai

    tañg kartī hai bahut tishna-labī ham ko bhī

    saañs bhartā hai agar pyaas to bharne hai

    itnī be-rahm masīhā.ī mire paas rahī

    zinda kar koī ḳhvāhish kabhī marne hai

    koī gauhar tirī ā.inda lahroñ meñ nahīñ

    ek dariyā ko ḳhabar pichhle-pahar ne hai

    is mashaqqat ne use tajraba in.aam diyā

    ik thakan us ko magar dasht-e-safar ne hai

    kisi tartib mein rakkhi na bikharne di hai

    main ne ye zindagi bekar guzarne di hai

    tang karti hai bahut tishna-labi hum ko bhi

    sans bharta hai agar pyas to bharne di hai

    itni be-rahm masihai mere pas rahi

    zinda kar di koi KHwahish kabhi marne di hai

    koi gauhar teri aainda ki lahron mein nahin

    ek dariya ko KHabar pichhle-pahar ne di hai

    is mashaqqat ne use tajraba inam diya

    ek thakan us ko magar dasht-e-safar ne di hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now