Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya

Liyaqat Ali Aasim

koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya

Liyaqat Ali Aasim

MORE BYLiyaqat Ali Aasim

    koī ās-pās nahīñ rahā to ḳhayāl terī taraf gayā

    mujhe apnā haath bhī chhū gayā to ḳhayāl terī taraf gayā

    koī aa ke jaise chalā gayā koī ke jaise gayā nahīñ

    mujhe apnā ghar kabhī ghar lagā to ḳhayāl terī taraf gayā

    mirī be-kalī thī shaguftagī so bahār mujh se lipaT ga.ī

    kahā vahm ne ki ye kaun thā to ḳhayāl terī taraf gayā

    mujhe kab kisī umañg thī mirī apne aap se jañg thī

    huā jab shikast sāmnā to ḳhayāl terī taraf gayā

    kisī hādse ḳhabar huī to fazā saañs ukhaḌ ga.ī

    koī ittifāq se bach gayā to ḳhayāl terī taraf gayā

    tire hijr meñ ḳhur-o-ḳhvāb ka.ī din se hai yahī silsila

    koī luqma haath se gir paḌā to ḳhayāl terī taraf gayā

    mire iḳhtiyār shiddateñ mirī dastaras se nikal ga.iiñ

    kabhī bhī sāmne aa gayā to ḳhayāl terī taraf gayā

    koi aas-pas nahin raha to KHayal teri taraf gaya

    mujhe apna hath bhi chhu gaya to KHayal teri taraf gaya

    koi aa ke jaise chala gaya koi ja ke jaise gaya nahin

    mujhe apna ghar kabhi ghar laga to KHayal teri taraf gaya

    meri be-kali thi shaguftagi so bahaar mujh se lipaT gai

    kaha wahm ne ki ye kaun tha to KHayal teri taraf gaya

    mujhe kab kisi ki umang thi meri apne aap se jang thi

    hua jab shikast ka samna to KHayal teri taraf gaya

    kisi hadse ki KHabar hui to faza ki sans ukhaD gai

    koi ittifaq se bach gaya to KHayal teri taraf gaya

    tere hijr mein KHur-o-KHwab ka kai din se hai yahi silsila

    koi luqma hath se gir paDa to KHayal teri taraf gaya

    mere iKHtiyar ki shiddaten meri dastaras se nikal gain

    kabhi tu bhi samne aa gaya to KHayal teri taraf gaya

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 25.10.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now