Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi jab mil ke muskuraya tha

Farah iqbal

koi jab mil ke muskuraya tha

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    koī jab mil ke muskurāyā thā

    aks-e-gul jabīñ pe saayā thā

    zaḳhm-e-dil jalan bhī kam thī bahut

    giit aisā sabā ne gaayā thā

    shab khulī thī bahār sūrat

    din sitāroñ jagmagāyā thā

    aise sargoshiyāñ thiiñ kānoñ meñ

    koī amrit jaam laayā thā

    ḳhvāb koñpal bhī thī tar-o-tāza

    aarzū ne bhī sar uThāyā thā

    jis ne mas.hūr kar diyā thā 'farah'

    ek jaadū ek chhāyā thā

    koi jab mil ke muskuraya tha

    aks-e-gul ka jabin pe saya tha

    zaKHm-e-dil ki jalan bhi kam thi bahut

    git aisa saba ne gaya tha

    shab khuli thi bahaar ki surat

    din sitaron sa jagmagaya tha

    aise sargoshiyan thin kanon mein

    koi amrit ka jam laya tha

    KHwab konpal bhi thi tar-o-taza

    aarzu ne bhi sar uThaya tha

    jis ne mashur kar diya tha 'farah'

    ek jadu sa ek chhaya tha

    Source:

    Koi bhi rut ho (Pg. 57)

    • Author: Farah iqbal
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now