Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi kuchh bhi kahta rahe sab KHamoshi se sun leta hai

Shariq Kaifi

koi kuchh bhi kahta rahe sab KHamoshi se sun leta hai

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    koī kuchh bhī kahtā rahe sab ḳhāmoshī se sun letā hai

    us ne bhī ab gahrī gahrī sāñseñ lenā siikh liyā hai

    pīchhe haTnā to chāhā thā par aise bhī nahīñ chāhā thā

    apnī taraf baḌhne ke liye bhī us taraf chalnā paḌtā hai

    jab tak ho aur jaise bhī ho duur raho us nazroñ se

    itnā purānā hai ki ye rishta phir se nayā bhī ho saktā hai

    jaise sab tūfān mirī sāñsoñ se bañdhe hoñ mujh meñ chhupe hoñ

    dil meñ kisī Dar ke aate zor havā baḌh jaatā hai

    maiñ to fasurda huuñ lekin ashk raqīb aañkh meñ bhī haiñ

    ek mahāz pe haare haiñ ham ye rishta kyā kam rishta hai

    rañg meñ haiñ saare ghar vaale khanak rahe haiñ chaa.e ke pyāle

    duniyā jaag chukī hai lekin apnā saverā nahīñ huā hai

    koi kuchh bhi kahta rahe sab KHamoshi se sun leta hai

    us ne bhi ab gahri gahri sansen lena sikh liya hai

    pichhe haTna to chaha tha par aise bhi nahin chaha tha

    apni taraf baDhne ke liye bhi us ki taraf chalna paDta hai

    jab tak ho aur jaise bhi ho dur raho us ki nazron se

    itna purana hai ki ye rishta phir se naya bhi ho sakta hai

    jaise sab tufan meri sanson se bandhe hon mujh mein chhupe hon

    dil mein kisi Dar ke aate hi zor hawa ka baDh jata hai

    main to fasurda hun hi lekin ashk raqib ki aankh mein bhi hain

    ek mahaz pe haare hain hum ye rishta kya kam rishta hai

    rang mein hain sare ghar wale khanak rahe hain chae ke pyale

    duniya jag chuki hai lekin apna sawera nahin hua hai

    Source:

    Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 118)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: 3rd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now