Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun

Fani Jodhpuri

koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun

Fani Jodhpuri

MORE BYFani Jodhpuri

    koī makīñ bhī na thā us makāñ se lauTā huuñ

    ḳhudā jāntā hai maiñ kahāñ se lauTā huuñ

    hayāt guzrī thī kirdār jis ke gaḌhne meñ

    zalīl ho ke usī dāstāñ se lauTā huuñ

    na koī naqsh nazar meñ na dhuul kapḌoñ pe

    samajh meñ kuchh nahīñ aatā kahāñ se lauTā huuñ

    jahāñ pe aa ke mukammal hue vajūd tamām

    adhūrā ho ki akelā vahāñ se lauTā huuñ

    vo ḳhushbūeñ to mire taak meñ thiiñ raqsāñ

    talāsh kar ki jinheñ gulsitāñ se lauTā huuñ

    zamīn vāloñ zamīñ na dāstāñ pūchho

    guzishta raat maiñ āsmāñ se lauTā huuñ

    jahāñ pe 'fānī' ko faanī banāyā jaatā hai

    maiñ ab ke baar usī āstāñ se lauTā huuñ

    koi makin bhi na tha us makan se lauTa hun

    KHuda hi jaanta hai main kahan se lauTa hun

    hayat guzri thi kirdar jis ke gaDhne mein

    zalil ho ke usi dastan se lauTa hun

    na koi naqsh nazar mein na dhul kapDon pe

    samajh mein kuchh nahin aata kahan se lauTa hun

    jahan pe aa ke mukammal hue wajud tamam

    adhura ho ki akela wahan se lauTa hun

    wo KHushbuen to mere tak mein hi thin raqsan

    talash kar ki jinhen gulsitan se lauTa hun

    zamin walon zamin ki na dastan puchho

    guzishta raat hi main aasman se lauTa hun

    jahan pe 'fani' ko fani banaya jata hai

    main ab ke bar usi aastan se lauTa hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now