koi manzar hai pur-asrar chalo dekhte hain
koī manzar hai pur-asrār chalo dekhte haiñ
kyā hai kohsār ke us paar chalo dekhte haiñ
ye na sochā thā magar hijr hai darpesh so ab
jiinā āsāñ hai ki dushvār chalo dekhte haiñ
maiñ jo sahrā meñ akelā huuñ to shāyad koī
mil hī jaa.e tirā bīmār chalo dekhte haiñ
hāsil-e-‘ishq aziyyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
kar ke par jur.at-e-iz.hār chalo dekhte haiñ
hashr meñ kaise chhupāoge haqīqat apnī
kaun hai kitnā gunahgār chalo dekhte haiñ
koi manzar hai pur-asrar chalo dekhte hain
kya hai kohsar ke us par chalo dekhte hain
ye na socha tha magar hijr hai darpesh so ab
jina aasan hai ki dushwar chalo dekhte hain
main jo sahra mein akela hun to shayad koi
mil hi jae tera bimar chalo dekhte hain
hasil-e-‘ishq aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin
kar ke par jurat-e-izhaar chalo dekhte hain
hashr mein kaise chhupaoge haqiqat apni
kaun hai kitna gunahgar chalo dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.