Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paDta hai

Farrukh Jafari

koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paDta hai

Farrukh Jafari

MORE BYFarrukh Jafari

    koī mausam ho kuchh bhī ho safar karnā paḌtā hai

    idhar se bojh kāñdhe udhar karnā paḌtā hai

    kahāñ jaate haiñ kyā karte haiñ kis ke saath rahte haiñ

    hameñ apnā ta.āqub umr bhar karnā paḌtā hai

    vo apne tan pe sah kar ho ki apnī jaan par phir bhī

    hameñ ik ma.arka har roz sar karnā paḌtā hai

    khulā rakkheñ na rakkheñ ghar darvāza magar 'farruḳh'

    safar āñkhoñ ko tā-hadd-e-nazar karnā paḌtā hai

    koi mausam ho kuchh bhi ho safar karna hi paDta hai

    idhar se bojh kandhe ka udhar karna hi paDta hai

    kahan jate hain kya karte hain kis ke sath rahte hain

    hamein apna taaqub umr bhar karna hi paDta hai

    wo apne tan pe sah kar ho ki apni jaan par phir bhi

    hamein ek marka har roz sar karna hi paDta hai

    khula rakkhen na rakkhen ghar ka darwaza magar 'farruKH'

    safar aankhon ko ta-hadd-e-nazar karna hi paDta hai

    Source:

    Ek zara sa bojh (Pg. E-59)

    • Author: Farrukh Jafari
      • Edition: 2014
      • Publisher: Farrukh Jafari
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now