Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi model na koi ideal chahiye hai

Sarfaraz Khan Azmi

koi model na koi ideal chahiye hai

Sarfaraz Khan Azmi

MORE BYSarfaraz Khan Azmi

    koī model na koī ideal chāhiye hai

    aaj bhī chāhiye mujhe kal chāhiye hai

    qaid kar bāñhoñ meñ phir zulf ko zanjīr banā

    ab koī kāT-kapaT aur na chhal chāhiye hai

    merī ġhaflat hai tire husn-e-mujassam zavāl

    mujh ko tanhā.ī meñ pur-nūr ḳhalal chāhiye hai

    ek muddat se maiñ mahbūs huuñ apne andar

    dam ghuTā jaatā hai kuchh radd-o-badal chāhiye hai

    vaqt koī taqāzā nazar-andāz nahīñ

    dil ba-zid hai use hairānī hal chāhiye hai

    roTiyāñ señkne baiThe haiñ siyāsat vaale

    un ko to barq-o-sharar raqs-e-ajal chāhiye hai

    īstāda haiñ gulistāñ meñ bahā.im har

    tā.iro ġhul karo ye nek amal chāhiye hai

    in ko māhaul sangīnī ehsās nahīñ

    jo ye kahte haiñ ki rangīn ġhazal chāhiye hai

    izzat-e-nafs mushkil hai tahaffuz ya.anī

    ek firqe ko yahāñ jang-o-jadal chāhiye hai

    'sarfarāz' ab vahī haT-dharm qile ġhāsib

    kah rahā hai ki use tāj-mahal chāhiye hai

    koi model na koi ideal chahiye hai

    aaj bhi chahiye tu hi mujhe kal chahiye hai

    qaid kar banhon mein phir zulf ko zanjir bana

    ab koi kaT-kapaT aur na chhal chahiye hai

    meri ghaflat hai tere husn-e-mujassam ka zawal

    mujh ko tanhai mein pur-nur KHalal chahiye hai

    ek muddat se main mahbus hun apne andar

    dam ghuTa jata hai kuchh radd-o-badal chahiye hai

    waqt ka koi taqaza nazar-andaz nahin

    dil ba-zid hai use hairani ka hal chahiye hai

    roTiyan senkne baiThe hain siyasat wale

    un ko to barq-o-sharar raqs-e-ajal chahiye hai

    istada hain gulistan mein bahaim har su

    tairo ghul karo ye nek amal chahiye hai

    in ko mahaul ki sangini ka ehsas nahin

    jo ye kahte hain ki rangin ghazal chahiye hai

    izzat-e-nafs ka mushkil hai tahaffuz yani

    ek firqe ko yahan jang-o-jadal chahiye hai

    'sarfaraaz' ab wahi haT-dharm qile ka ghasib

    kah raha hai ki use taj-mahal chahiye hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now