Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi surat-ashna apna na begana koi

Nasir Kazmi

koi surat-ashna apna na begana koi

Nasir Kazmi

MORE BYNasir Kazmi

    koī sūrat-āshnā apnā na begāna koī

    kuchh kaho yaaro ye bastī hai ki vīrāna koī

    sub.h-dam dekhā to saarā baaġh thā gul taraf

    sham.a ke tābūt par royā na parvāna koī

    ḳhalvatoñ meñ ro.egī chhup-chhup ke lailā-e-ġhazal

    is bayābāñ meñ na ab aa.egā dīvāna koī

    ham-nashīñ ḳhāmosh dīvāreñ bhī suntī haiñ yahāñ

    raat Dhal jaa.e to phir chheḌeñge afsāna koī

    koi surat-ashna apna na begana koi

    kuchh kaho yaro ye basti hai ki virana koi

    subh-dam dekha to sara bagh tha gul ki taraf

    shama ke tabut par roya na parwana koi

    KHalwaton mein roegi chhup-chhup ke laila-e-ghazal

    is bayaban mein na ab aaega diwana koi

    ham-nashin KHamosh diwaren bhi sunti hain yahan

    raat Dhal jae to phir chheDenge afsana koi

    Source:

    Kulliyaat-e-Nasir Kazmi (Pg. 219)

    • Author: Nasir Kazmi
      • Edition: 1957
      • Publisher: Nasir Kazmi
      • Year of Publication: 1957
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now