Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    koī ye zāhid se ke kah de ki rasm ulTī shabāb hai

    savāb meñ hai gunah lazzat gunah meñ lazzat savāb hai

    ruḳh-e-munavvar pe dar-haqīqat misāl aisī naqāb hai

    mah-e-do-hafta ke rū-e-raushan pe jaise chādar sahāb hai

    kuchh aisī tauba-shikan har ik baat us but-e-lā-javāb hai

    hai gesuoñ meñ ghaTā aalam nazar meñ mastī sharāb hai

    in āñsuoñ ko gila na samjho ye dil se tañg aa ke gir rahe haiñ

    isī ne rusvā kiyā hai har isī ne miTTī ḳharāb hai

    yahī vo kuuza hai dil ki rahte haiñ band jis meñ hazār dariyā

    yahī vo zarra hai dar-haqīqat ki jis meñ zau āftāb hai

    naqāb rū-e-hasīñ uThā kar na is tarah ham ko bhuul jaao

    murādeñ dil bhī puurī kar do agar nazar kāmyāb hai

    kahāñ jannat kidhar dozaḳh kidhar duniyā kahāñ uqbā

    ye sab fasāna ye sab kahānī 'sahar' faqat shaiḳh o shabāb hai

    koi ye zahid se ja ke kah de ki rasm ulTi shabab ki hai

    sawab mein hai gunah ki lazzat gunah mein lazzat sawab ki hai

    ruKH-e-munawwar pe dar-haqiqat misal aisi naqab ki hai

    mah-e-do-hafta ke ru-e-raushan pe jaise chadar sahab ki hai

    kuchh aisi tauba-shikan har ek baat us but-e-la-jawab ki hai

    hai gesuon mein ghaTa ka aalam nazar mein masti sharab ki hai

    in aansuon ko gila na samjho ye dil se tang aa ke gir rahe hain

    isi ne ruswa kiya hai har su isi ne miTTi KHarab ki hai

    yahi wo kuza hai dil ki rahte hain band jis mein hazar dariya

    yahi wo zarra hai dar-haqiqat ki jis mein zau aaftab ki hai

    naqab ru-e-hasin uTha kar na is tarah hum ko bhul jao

    muraden dil ki bhi puri kar do agar nazar kaamyab ki hai

    kahan ki jannat kidhar ka dozaKH kidhar ki duniya kahan ka uqba

    ye sab fasana ye sab kahani 'sahar' faqat shaiKH o shabab ki hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now