aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh barae saqi-e-gulfam pi leta hun main

Bulbul Kashmiri

kuchh barae saqi-e-gulfam pi leta hun main

Bulbul Kashmiri

MORE BYBulbul Kashmiri

    kuchh barā.e sāqī-e-gulfām letā huuñ maiñ

    kuchh ba-isrār-e-lab-e-mādām letā huuñ maiñ

    kuchh ba-nām-e-'ġhālib'-o-'josh'-o-'jigar' 'faiz'-o-'adam'

    kuchh bayād-e-hāfiz-o-ḳhayyām letā huuñ maiñ

    az-sar-e-nau sar pe bāloñ ko ugāne ke liye

    hasb-e-nusḳha roġhan-e-bādām letā huuñ maiñ

    mai-kade meñ jab bhī piitā huuñ kabhī zāhid ke saath

    bil adā kartā hai vo be-dām letā huuñ maiñ

    vādī-e-kashmīr rañgīniyoñ yaad meñ

    chaa.e ke uble gulābī jaam letā huuñ maiñ

    jab kabhī bulbul mujhe hotā hai nazla aur zukām

    bas zarā do ghūñT vaqt-e-shām letā huuñ maiñ

    kuchh barae saqi-e-gulfam pi leta hun main

    kuchh ba-israr-e-lab-e-madam pi leta hun main

    kuchh ba-nam-e-'ghaalib'-o-'josh'-o-'jigar' 'faiz'-o-'adam'

    kuchh bayaad-e-hafiz-o-KHayyam pi leta hun main

    az-sar-e-nau sar pe baalon ko ugane ke liye

    hasb-e-nusKHa roghan-e-baadam pi leta hun main

    mai-kade mein jab bhi pita hun kabhi zahid ke sath

    bil ada karta hai wo be-dam pi leta hun main

    wadi-e-kashmir ki ranginiyon ki yaad mein

    chae ke uble gulabi jam pi leta hun main

    jab kabhi bulbul mujhe hota hai nazla aur zukaam

    bas zara do ghunT waqt-e-sham pi leta hun main

    Source:

    Khanda-e-Gul (Pg. 134)

    • Author: Bulbul Kashmiri
      • Publisher: Idara-e-Frogh-e-Urdu, Lahore
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now