Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh bhi nahin jo yaad-e-butan-e-hasin nahin

Afsar Allahabadi

kuchh bhi nahin jo yaad-e-butan-e-hasin nahin

Afsar Allahabadi

MORE BYAfsar Allahabadi

    kuchh bhī nahīñ jo yād-e-butān-e-hasīñ nahīñ

    jab vo nahīñ to dil bhī hamārā kahīñ nahīñ

    kis vaqt ḳhūñ-fishāñ nahīñ āñkheñ firāq meñ

    kis roz tar lahū se yahāñ āstīñ nahīñ

    aisā na paayā koī bhī us but naqsh-e-pā

    jis par ki āshiqoñ ke nishān-e-jabīñ nahīñ

    har parda-dār vaqt par aatā nahīñ hai kaam

    ek āstīñ hai āñkhoñ par ik āstīñ nahīñ

    donoñ jahāñ se kaam nahīñ ham ko ishq meñ

    achchhā to hai jo apnā Thikānā kahīñ nahīñ

    kyā har taraf hai naza.a meñ apnī nigāh-e-yās

    zaanū par us ke sar jo dam-e-vāpsīñ nahīñ

    donoñ meñ sau tarah ke bakheḌe haiñ umr bhar

    ai ishq mujh ko hausla-e-kufr-o-dīñ nahīñ

    vo mehr-vash jo aayā thā kal aur auj thā

    aaj āsmāñ pe mere makāñ zamīñ nahīñ

    kyā aañkh uThā ke naza.a meñ dekhūñ kisī ko maiñ

    bālīñ par aap jo dam-e-vāpsīñ nahīñ

    paidā huī zarūr koī nā-ḳhushī baat

    be-vaj.h ye huzūr chīn-e-jabīñ nahīñ

    ḳhair aa ke fātiha kabhī iḳhlās se paḌhe

    us bevafā zaat se ye bhī yaqīñ nahīñ

    ḳhil.at milī junūñ se ajab qat.a mujhe

    dāman haiñ chaak jeb qabā āstīñ nahīñ

    'afsar' jo is jahān meñ kal tak the hukmarāñ

    aaj un bahar-e-nām bhī tāj-o-nagīñ nahīñ

    kuchh bhi nahin jo yaad-e-butan-e-hasin nahin

    jab wo nahin to dil bhi hamara kahin nahin

    kis waqt KHun-fishan nahin aankhen firaq mein

    kis roz tar lahu se yahan aastin nahin

    aisa na paya koi bhi us but ka naqsh-e-pa

    jis par ki aashiqon ke nishan-e-jabin nahin

    har parda-dar waqt par aata nahin hai kaam

    ek aastin hai aankhon par ek aastin nahin

    donon jahan se kaam nahin hum ko ishq mein

    achchha to hai jo apna Thikana kahin nahin

    kya har taraf hai naza mein apni nigah-e-yas

    zanu par us ke sar jo dam-e-wapsin nahin

    donon mein sau tarah ke bakheDe hain umr bhar

    ai ishq mujh ko hausla-e-kufr-o-din nahin

    wo mehr-wash jo aaya tha kal aur auj tha

    aaj aasman pe mere makan ki zamin nahin

    kya aankh uTha ke naza mein dekhun kisi ko main

    baalin par aap hi jo dam-e-wapsin nahin

    paida hui zarur koi na-KHushi ki baat

    be-wajh ye huzur ki chin-e-jabin nahin

    KHair aa ke fatiha kabhi iKHlas se paDhe

    us bewafa ki zat se ye bhi yaqin nahin

    KHilat mili junun se ajab qata ki mujhe

    daman hain chaak jeb qaba aastin nahin

    'afsar' jo is jahan mein kal tak the hukmaran

    aaj un ka bahar-e-nam bhi taj-o-nagin nahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kuchh bhi nahin jo yaad-e-butan-e-hasin nahin Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now