Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh buri baat nahin sahab-e-iman hona

Tilok Chand Mahroom

kuchh buri baat nahin sahab-e-iman hona

Tilok Chand Mahroom

MORE BYTilok Chand Mahroom

    kuchh burī baat nahīñ sāhab-e-īmāñ honā

    agar īmān se matlūb ho insāñ honā

    barg-hā-e-gul-e-tar ye pareshāñ honā

    jurm hai gul-kada-e-dahr meñ ḳhandāñ honā

    jab kisī ġhunche ko khilte hue dekhā maiñ ne

    aa gayā yaad vahīñ dil pareshāñ honā

    ho gayā merī pareshāñ-nazarī baa.is

    jalva-e-husn har samt farāvāñ honā

    ahl-e-vahshat Thikānā bhī kahīñ to hotā

    nahīñ be-sarfa bayābāñ bayābāñ honā

    dam ġham-e-ishq bharte hue naale karnā

    aarzū dard aur tālib-e-darmāñ honā

    bā.is-e-hairat-e-arbāb-e-suḳhan hai 'mahrūm'

    ahd-e-pīrī meñ tumhārā ye ġhazal-ḳhvāñ honā

    kuchh buri baat nahin sahab-e-iman hona

    agar iman se matlub ho insan hona

    barg-ha-e-gul-e-tar ka ye pareshan hona

    jurm hai gul-kada-e-dahr mein KHandan hona

    jab kisi ghunche ko khilte hue dekha main ne

    aa gaya yaad wahin dil ka pareshan hona

    ho gaya meri pareshan-nazari ka bais

    jalwa-e-husn ka har samt farawan hona

    ahl-e-wahshat ka Thikana bhi kahin to hota

    nahin be-sarfa bayaban ka bayaban hona

    dam gham-e-ishq ka bharte hue nale karna

    aarzu dard ki aur talib-e-darman hona

    bais-e-hairat-e-arbab-e-suKHan hai 'mahrum'

    ahd-e-piri mein tumhaara ye ghazal-KHwan hona

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now