Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna

Adeem Hashmi

kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna

Adeem Hashmi

MORE BYAdeem Hashmi

    kuchh hijr ke mausam ne satāyā nahīñ itnā

    kuchh ham ne tirā sog manāyā nahīñ itnā

    kuchh terī judā.ī aziyyat bhī kaḌī thī

    kuchh dil ne bhī ġham terā manāyā nahīñ itnā

    kyuuñ sab tarah bhiig ga.ī haiñ tirī palkeñ

    ham ne to tujhe haal sunāyā nahīñ itnā

    kuchh roz se dil ne tirī rāheñ nahīñ dekhīñ

    kyā baat hai yaad bhī aayā nahīñ itnā

    kyā jāniye is be-sar-o-sāmāni-e-dil ne

    pahle to kabhī ham ko rulāyā nahīñ itnā

    kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna

    kuchh hum ne tera sog manaya nahin itna

    kuchh teri judai ki aziyyat bhi kaDi thi

    kuchh dil ne bhi gham tera manaya nahin itna

    kyun sab ki tarah bhig gai hain teri palken

    hum ne to tujhe haal sunaya nahin itna

    kuchh roz se dil ne teri rahen nahin dekhin

    kya baat hai tu yaad bhi aaya nahin itna

    kya jaaniye is be-sar-o-samani-e-dil ne

    pahle to kabhi hum ko rulaya nahin itna

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kuchh hijr ke mausam ne sataya nahin itna Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now