Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh hisab ai sitam ijad to kar

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

kuchh hisab ai sitam ijad to kar

Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

MORE BYMirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi

    kuchh hisāb ai sitam ījād to kar

    kis qadar zulm kiye yaad to kar

    zinda sakte haiñ bāhar ki nahīñ

    dekh asīroñ ko ab āzād to kar

    ḳhaak kyuuñ chhān rahā hai batlā

    thā bhī dil paas tire yaad to kar

    are muñh Dhāñp ke rone vaale

    dam ulaT jā.egā fariyād to kar

    haa.e kyā hogā bahār aane tak

    qaidī-e-kunj-e-kafas yaad to kar

    vo tasallī sahī ai sayyād

    kuchh muayyan mirī mī.ād to kar

    hai tanaffur jo butoñ se vaa.iz

    sifat-e-husn-e-ḳhudā-dād to kar

    kabhī najd jānib bhī 'azīz'

    rūh-e-majnūñ ko zarā shaad to kar

    kuchh hisab ai sitam ijad to kar

    kis qadar zulm kiye yaad to kar

    zinda ja sakte hain bahar ki nahin

    dekh asiron ko ab aazad to kar

    KHak kyun chhan raha hai batla

    tha bhi dil pas tere yaad to kar

    are munh Dhanp ke rone wale

    dam ulaT jaega fariyaad to kar

    hae kya hoga bahaar aane tak

    qaidi-e-kunj-e-kafas yaad to kar

    wo tasalli hi sahi ai sayyaad

    kuchh muayyan meri miad to kar

    hai tanaffur jo buton se waiz

    sifat-e-husn-e-KHuda-dad to kar

    ja kabhi najd ki jaanib bhi 'aziz'

    ruh-e-majnun ko zara shad to kar

    Source:

    Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat) (Pg. e-76 p-48)

    • Author: Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
      • Edition: 1936
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now