aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh is tarah se tera gham diye jalata tha

Mushfiq Khwaja

kuchh is tarah se tera gham diye jalata tha

Mushfiq Khwaja

MORE BYMushfiq Khwaja

    kuchh is tarah se terā ġham diye jalātā thā

    ki ḳhāk-e-dil har ik zarra jagmagātā thā

    isī liye na kiyā talḳhī-e-jahāñ galā

    tirā ḳhayāl pas-e-parda muskurātā thā

    na yaad rakhtā thā mujh ko na bhuul jaatā thā

    kabhī kabhī vo mujhe yuuñ bhī āzmātā thā

    har aa.ina thā sarāpā hijāb mere liye

    maiñ apne aap ko dekhūñ nazar vo aatā thā

    nazar churā ke vo guzrā qarīb se lekin

    nazar bachā ke mujhe dekhtā bhī jaatā thā

    ġhazal ke lahje meñ hotī thī guftugū us se

    vazāhatoñ meñ bhī ib.hām rah jaatā thā

    vahāñ bhī sāya-e-dīvār us yaad rahā

    ḳhud apnā saaya jahāñ saath chhoḌ jaatā thā

    udaas kamra mahaktā thā kis yādoñ se

    vo kaun shaḳhs thā kyā thā kahāñ se aatā thā

    chamakte the dar-o-dīvār ā.inoñ tarah

    in ā.inoñ meñ koī aks muskurātā thā

    ye ḳhvāb mirī tanhā.iyoñ hāsil thā

    ye ḳhvāb mirī tanhā.iyāñ baḌhātā thā

    kuchh is tarah se tera gham diye jalata tha

    ki KHak-e-dil ka har ek zarra jagmagata tha

    isi liye na kiya talKHi-e-jahan ka gala

    tera KHayal pas-e-parda muskuraata tha

    na yaad rakhta tha mujh ko na bhul jata tha

    kabhi kabhi wo mujhe yun bhi aazmata tha

    har aaina tha sarapa hijab mere liye

    main apne aap ko dekhun nazar wo aata tha

    nazar chura ke wo guzra qarib se lekin

    nazar bacha ke mujhe dekhta bhi jata tha

    ghazal ke lahje mein hoti thi guftugu us se

    wazahaton mein bhi ibham rah hi jata tha

    wahan bhi saya-e-diwar us ka yaad raha

    KHud apna saya jahan sath chhoD jata tha

    udas kamra mahakta tha kis ki yaadon se

    wo kaun shaKHs tha kya tha kahan se aata tha

    chamakte the dar-o-diwar aainon ki tarah

    in aainon mein koi aks muskuraata tha

    ye KHwab hi meri tanhaiyon ka hasil tha

    ye KHwab hi meri tanhaiyan baDhata tha

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 452)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now