Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun

Ghulam Husain Sajid

kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    kuchh roz se maiñ bhī bahut āsūdgī ke saath huuñ

    ab koī mere saath hai maiñ kisī ke saath huuñ

    paivast hai mere lahū meñ zāhir-o-bātin zau

    āzurdagī ke saath huuñ jab se ḳhushī ke saath huuñ

    ik bojh hai ab mere siine par mirī maujūdgī

    maiñ saath huuñ apne magar ik be-ruḳhī ke saath huuñ

    kyā soch kar maiñ ne qadam rakkhā thā dasht-e-najd meñ

    kyuuñ ġhaib se utrī huī āvārgī ke saath huuñ

    maiñ saath huuñ us ke bahar-sūrat tulū-e-mehr tak

    sanjīdgī ke saath huuñ dil-lagī ke saath huuñ

    kahtā nahīñ suntā nahīñ hañstā nahīñ rotā nahīñ

    maiñ bhī azal se aaj tak kaise ġhabī ke saath huuñ

    ik mauj meñ baḌhtā chalā jaatā huuñ manzil taraf

    ya.anī fanā raah par maiñ bhī sabhī ke saath huuñ

    kuchh ḳhauf khāne zarūrat hai na lāzim ehtiyāt

    maiñ lashkarī huuñ aap aur aap ke saath huuñ

    muddat huī hai ḳhud-farebī ke zamāne ko lade

    ab jo mirā ho kar rahegā maiñ usī ke saath huuñ

    'sājid' abhī tak qarz hai mujh par mirī pahchān

    shāmil kisī ke rañg meñ apnī kamī ke saath huuñ

    kuchh roz se main bhi bahut aasudgi ke sath hun

    ab koi mere sath hai ya main kisi ke sath hun

    paiwast hai mere lahu mein zahir-o-baatin ki zau

    aazurdagi ke sath hun jab se KHushi ke sath hun

    ek bojh hai ab mere sine par meri maujudgi

    main sath hun apne magar ek be-ruKHi ke sath hun

    kya soch kar main ne qadam rakkha tha dasht-e-najd mein

    kyun ghaib se utri hui aawargi ke sath hun

    main sath hun us ke bahar-surat tulu-e-mehr tak

    sanjidgi ke sath hun ya dil-lagi ke sath hun

    kahta nahin sunta nahin hansta nahin rota nahin

    main bhi azal se aaj tak kaise ghabi ke sath hun

    ek mauj mein baDhta chala jata hun manzil ki taraf

    yani fana ki rah par main bhi sabhi ke sath hun

    kuchh KHauf khane ki zarurat hai na lazim ehtiyat

    main lashkari hun aap ka aur aap hi ke sath hun

    muddat hui hai KHud-farebi ke zamane ko lade

    ab jo mera ho kar rahega main usi ke sath hun

    'sajid' abhi tak qarz hai mujh par meri pahchan ka

    shamil kisi ke rang mein apni kami ke sath hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now