aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka

Zafar Iqbal

kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    kuchh sabab na bane baat baḌhā dene

    khel khelā huā ye us ko bhulā dene

    apne sāmne dīvār banā baiThā huuñ

    hai ye anjām use raste se haTā dene

    yūñhī chup chaap guzar jā.iye in galiyoñ se

    yahāñ kuchh aur matlab hai sadā dene

    rāsta roknā maqsad nahīñ kuchh aur hai ye

    darmiyāñ meñ koī dīvār uThā dene

    aane vāloñ ko tarīqa mujhe aatā hai bahut

    jaane vāloñ ke ta.āqub meñ lagā dene

    ek maqsad to huā DhūñDnā us ko har-sū

    lutf aur hai paane se gañvā dene

    ik hunar paas thā apne so nahīñ ab vo bhī

    jo dikhā.ī nahīñ detā hai dikhā dene

    sab ko mālūm hai aur hausla rakhtā huuñ abhī

    apne likkhe hue ko ḳhud miTā dene

    TuuT paḌtī hai qayāmat koī pahle 'zafar'

    qasd kartā huuñ jo fitne ko jagā dene

    kuchh sabab hi na bane baat baDha dene ka

    khel khela hua ye us ko bhula dene ka

    apne hi samne diwar bana baiTha hun

    hai ye anjam use raste se haTa dene ka

    yunhi chup chap guzar jaiye in galiyon se

    yahan kuchh aur hi matlab hai sada dene ka

    rasta rokna maqsad nahin kuchh aur hai ye

    darmiyan mein koi diwar uTha dene ka

    aane walon ko tariqa mujhe aata hai bahut

    jaane walon ke taaqub mein laga dene ka

    ek maqsad to hua DhunDna us ko har-su

    lutf hi aur hai pane se ganwa dene ka

    ek hunar pas tha apne so nahin ab wo bhi

    jo dikhai nahin deta hai dikha dene ka

    sab ko malum hai aur hausla rakhta hun abhi

    apne likkhe hue ko KHud hi miTa dene ka

    TuT paDti hai qayamat koi pahle hi 'zafar'

    qasd karta hun jo fitne ko jaga dene ka

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now