aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui

Parveen Umm-e-Mushtaq

kuchh tabiat aaj-kal pata hun ghabrai hui

Parveen Umm-e-Mushtaq

MORE BYParveen Umm-e-Mushtaq

    kuchh tabī'at āj-kal paatā huuñ ghabrā.ī huī

    shahr bhar meñ hai udāsī har taraf chhā.ī huī

    hā.e-re ġhārat-gar-e-sabr-o-shakebā.ī huī

    vo tirī tirchhī nazar vo aañkh sharmā.ī huī

    ai sabā chaltī hai kyuuñ is darja itrā.ī huī

    kyā nahīñ hai vahī us gul Thukrā.ī huī

    vasl meñ achchhī tarah jab bāda-paimā.ī huī

    uḌ ga.ī kāfūr ban ban kar hayā aa.ī huī

    shab ko jab abrū-o-mizhgāñ saf-ārā.ī huī

    shoḳhiyoñ meñ dab ga.ī sharm-o-hayā aa.ī huī

    haa.e merī be-qarārī aur un iztirāb

    aur chalte vaqt bāteñ vo ghabrā.ī huī

    qabr tak pahūñchā ga.e saare azīz-o-aqribā

    aage aage phir rafīq-e-rāh tanhā.ī huī

    haañ tumhīñ par jaan detā huuñ tumhīñ par huuñ nisār

    haañ tumhīñ par hai tabī'at TuuT kar aa.ī huī

    TukḌe TukḌe haiñ jigar ke shīsha-e-dil chūr-chūr

    ye qayāmat hai tumhārī chaal Dhaa.ī huī

    jis meñ tāqat hai na harakat hai na ḳhvāhish hai na jaañ

    dil nahīñ ik laash hai siine meñ dafnā.ī huī

    baiThte baiThte mahfil meñ be-ḳhud ho gayā

    dekhte dekhte ruḳhsat tavānā.ī huī

    ḳhuub rone do ki ye roke se ruk saktā nahīñ

    mere dil par hai abhī ġham ghaTā chhā.ī huī

    ābdīda ho ke vo aapas meñ kahnā alvidāa'

    us kam merī sivā āvāz bharrā.ī huī

    minnateñ kartā huuñ dar-guzro ḳhudārā baḳhsh do

    ab to nādānī huī mujh se dānā.ī huī

    shikva-e-va.ada-ḳhilāfī milā achchhā javāb

    peshgī rakkhī thī ik ummīd bar aa.ī huī

    huur par merī tabī'at aa.e kyā maqdūr hai

    tauba tauba ye bhī terī tarah harjā.ī huī

    ḳhud socho dekhne vāloñ is meñ kyā qusūr

    jab tamāshā tum hue ḳhilqat tamāshā.ī huī

    rote rote Thahr jaatā huuñ tirī sar qasam

    yaad aa jaatī hai jab vo baat samjhā.ī huī

    de ke dil ġhusse meñ vāpas un ko pachhtānā paḌā

    kyā raqam jaatī rahī hai haath se aa.ī huī

    ḳhush-nasībī us jagah jahāñ rakkhe qadam

    rail bhī phirtī hai station par itrā.ī huī

    jab kahā us ne ki martā huuñ to kosā is tarah

    tujh ko aa.e yā-ilāhī ġhair aa.ī huī

    rabt baḌhne par khulā kartā hai kuchh achchhā burā

    is se kyā hotā hai gar rasmī shanāsā.ī huī

    'ishq-bāzī aur shai hai fisq hai kuchh aur chiiz

    nek-nāmī ko na kah 'parvīñ' ki rusvā.ī huī

    kuchh tabi'at aaj-kal pata hun ghabrai hui

    shahr bhar mein hai udasi har taraf chhai hui

    hae-re ghaarat-gar-e-sabr-o-shakebai hui

    wo teri tirchhi nazar wo aankh sharmai hui

    ai saba chalti hai kyun is darja itrai hui

    kya nahin hai tu wahi us gul ki Thukrai hui

    wasl mein achchhi tarah jab baada-paimai hui

    uD gai kafur ban ban kar haya aai hui

    shab ko jab abru-o-mizhgan ki saf-arai hui

    shoKHiyon mein dab gai sharm-o-haya aai hui

    hae meri be-qarari aur un ka iztirab

    aur chalte waqt ki baaten wo ghabrai hui

    qabr tak pahuncha gae sare aziz-o-aqriba

    aage aage phir rafiq-e-rah tanhai hui

    han tumhin par jaan deta hun tumhin par hun nisar

    han tumhin par hai tabi'at TuT kar aai hui

    TukDe TukDe hain jigar ke shisha-e-dil chur-chur

    ye qayamat hai tumhaari chaal ki Dhai hui

    jis mein taqat hai na harakat hai na KHwahish hai na jaan

    dil nahin ek lash hai sine mein dafnai hui

    baiThte hi baiThte mahfil mein be-KHud ho gaya

    dekhte hi dekhte ruKHsat tawanai hui

    KHub rone do ki ye roke se ruk sakta nahin

    mere dil par hai abhi gham ki ghaTa chhai hui

    aabdida ho ke wo aapas mein kahna alwidaa'

    us ki kam meri siwa aawaz bharrai hui

    minnaten karta hun dar-guzro KHudara baKHsh do

    ab to nadani hui ya mujh se danai hui

    shikwa-e-wada-KHilafi ka mila achchha jawab

    peshgi rakkhi thi ek ummid bar aai hui

    hur par meri tabi'at aae kya maqdur hai

    tauba tauba ye bhi teri tarah harjai hui

    KHud hi socho dekhne walon ka is mein kya qusur

    jab tamasha tum hue KHilqat tamashai hui

    rote rote Thahr jata hun teri sar ki qasam

    yaad aa jati hai jab wo baat samjhai hui

    de ke dil ghusse mein wapas un ko pachhtana paDa

    kya raqam jati rahi hai hath se aai hui

    KHush-nasibi us jagah ki tu jahan rakkhe qadam

    rail bhi phirti hai station par itrai hui

    jab kaha us ne ki marta hun to kosa is tarah

    tujh ko aae ya-ilahi ghair ki aai hui

    rabt baDhne par khula karta hai kuchh achchha bura

    is se kya hota hai gar rasmi shanasai hui

    'ishq-bazi aur shai hai fisq hai kuchh aur chiz

    nek-nami ko na kah 'parwin' ki ruswai hui

    Source:

    Deewan-e-parveen (Pg. ebook-181 page-178)

    • Author: Parveen Umm-e-Mushtaq
      • Publisher: Azizi Press
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now