kuchh to is dil ko saza di jae
kuchh to is dil ko sazā dī jaa.e
us kī tasvīr haTā dī jaa.e
DhūñDhne meñ bhī maza aatā hai
koī shai rakh ke bhulā dī jaa.e
naam likh likh ke tirā kāġhaz par
raushnā.ī bhī girā dī jaa.e
naav kāġhaz kī banā kar us ko
bahte paanī meñ bahā dī jaa.e
raat ko chupke se ik ik ghar kī
kyoñ na zanjīr lagā dī jaa.e
niiñd meñ chauñk paḌegā koī
aao us dar pe sadā dī jaa.e
āḳhirī saañs mahak jā.egī
us ke dāman kī havā dī jaa.e
sab ke sab yaar chale aate haiñ
aaj kis kis ko du'ā dī jaa.e
'alvī' hotel meñ Thahr saktā hai
kyoñ use ghar meñ jagah dī jaa.e
kuchh to is dil ko saza di jae
us ki taswir haTa di jae
DhunDhne mein bhi maza aata hai
koi shai rakh ke bhula di jae
nam likh likh ke tera kaghaz par
raushnai bhi gira di jae
naw kaghaz ki bana kar us ko
bahte pani mein baha di jae
raat ko chupke se ek ek ghar ki
kyon na zanjir laga di jae
nind mein chaunk paDega koi
aao us dar pe sada di jae
aaKHiri sans mahak jaegi
us ke daman ki hawa di jae
sab ke sab yar chale aate hain
aaj kis kis ko du'a di jae
'alwi' hotel mein Thahr sakta hai
kyon use ghar mein jagah di jae
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 78)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.