Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to main bhi Dara Dara sa tha

Salman Akhtar

kuchh to main bhi Dara Dara sa tha

Salman Akhtar

MORE BYSalman Akhtar

    kuchh to maiñ bhī Darā Darā thā

    aur kuchh rāstā nayā thā

    jhuuT aur sach ke darmiyāñ thā jo

    aaj vo pul bhī TūTtā thā

    jis se saare charāġh jalte the

    vo charāġh aaj kuchh bujhā thā

    raas aa.e na us ke rasm-o-rivāj

    shahr ham se ḳhafā ḳhafā thā

    but samajhte the jis ko saare log

    vo mire vāste ḳhudā thā

    kuchh to main bhi Dara Dara sa tha

    aur kuchh rasta naya sa tha

    jhuT aur sach ke darmiyan tha jo

    aaj wo pul bhi TuTta sa tha

    jis se sare charagh jalte the

    wo charagh aaj kuchh bujha sa tha

    ras aae na us ke rasm-o-riwaj

    shahr hum se KHafa KHafa sa tha

    but samajhte the jis ko sare log

    wo mere waste KHuda sa tha

    Source:

    Soch Samajh (Pg. 37)

    • Author: Salman Akhtar
      • Edition: 2015
      • Publisher: Star Publishers Pvt.Ltd, N. Delhi
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now