Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ku-ba-ku sahra-ba-sahra dar-ba-dar ki baat hai

Zaheer Nashad Darbhangwi

ku-ba-ku sahra-ba-sahra dar-ba-dar ki baat hai

Zaheer Nashad Darbhangwi

MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi

    kū-ba-kū sahrā-ba-sahrā dar-ba-dar baat hai

    zindagī kyā hai ye rūdād-e-safar baat hai

    kyā zarūrī hai har ik manzil ko ham manzil kaheñ

    ye to apne apne andāz-e-nazar baat hai

    vo to dīvāna thā ai dānishvaro phir kis liye

    sab ke hoñToñ par usī āshufta-sar baat hai

    hādsoñ ko ham-safar apnā jo samjhe rāh-rau

    ye jahāñ us ke liye gard-e-safar baat hai

    dāstāñ TuuTe hue shīshe kiije kyā raqam

    shīsha se nāzuk ziyāda shīshagar baat hai

    ham ne jhelī haiñ mohazzab zindagī saḳhtiyāñ

    ham se pūchho is meñ kitne dard-e-sar baat hai

    apne ghar meñ bhī sukūñ se aaj rahnā hai muhāl

    chup raho sun legā koī apne ghar baat hai

    dostoñ se mil ke ab 'nāshād' hotā hai gumāñ

    mere andar bhī koī shāyad hunar baat hai

    ku-ba-ku sahra-ba-sahra dar-ba-dar ki baat hai

    zindagi kya hai ye rudad-e-safar ki baat hai

    kya zaruri hai har ek manzil ko hum manzil kahen

    ye to apne apne andaz-e-nazar ki baat hai

    wo to diwana tha ai danishwaro phir kis liye

    sab ke honTon par usi aashufta-sar ki baat hai

    hadson ko ham-safar apna jo samjhe rah-rau

    ye jahan us ke liye gard-e-safar ki baat hai

    dastan TuTe hue shishe ki kije kya raqam

    shisha se nazuk ziyaada shishagar ki baat hai

    hum ne jheli hain mohazzab zindagi ki saKHtiyan

    hum se puchho is mein kitne dard-e-sar ki baat hai

    apne ghar mein bhi sukun se aaj rahna hai muhaal

    chup raho sun lega koi apne ghar ki baat hai

    doston se mil ke ab 'nashad' hota hai guman

    mere andar bhi koi shayad hunar ki baat hai

    Source:

    Nawa-e-Khunchakan (Pg. 41)

    • Author: Zaheer Nashad Darbhangwi
      • Publisher: Mah Jabeen Kitab Ghar, Darbhanga, Bihar
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now