aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan

Farigh Bukhari

kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan

Farigh Bukhari

MORE BYFarigh Bukhari

    kyā adū kyā dost sab ko bhā ga.iiñ rusvā.iyāñ

    kaun aa kar nāptā ehsās pahnā.iyāñ

    ab kisī mausam be-rahmī koī ġham nahīñ

    ham ne āñkhoñ meñ sajā.ī haiñ tirī añgḌā.iyāñ

    aap kyā aa.e bahāroñ ke darīche khul ga.e

    ḳhushbuoñ meñ bas ga.iiñ tarsī huī tanhā.iyāñ

    chāñd ban kar kaun utrā hai qabā-e-jism meñ

    jaag uTThī haiñ ḳhayāl-o-fikr gahrā.iyāñ

    dil pe hai chhāyā huā bedār ḳhvāboñ tilism

    zehn ke āñgan meñ lahrātī haiñ kuchh parchhā.iyāñ

    aaj 'fāriġh' ujḌe ujḌe se haiñ 'ġhālib' tarah

    yaad thiiñ ham ko bhī rañgā-rañg bazm-ārā.īyāñ

    kya adu kya dost sab ko bha gain ruswaiyan

    kaun aa kar napta ehsas ki pahnaiyan

    ab kisi mausam ki be-rahmi ka koi gham nahin

    hum ne aankhon mein sajai hain teri angDaiyan

    aap kya aae bahaaron ke dariche khul gae

    KHushbuon mein bas gain tarsi hui tanhaiyan

    chand ban kar kaun utra hai qaba-e-jism mein

    jag uTThi hain KHayal-o-fikr ki gahraiyan

    dil pe hai chhaya hua bedar KHwabon ka tilism

    zehn ke aangan mein lahraati hain kuchh parchhaiyan

    aaj 'farigh' ujDe ujDe se hain 'ghaalib' ki tarah

    yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 268)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now