Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai

Gyan Chand Jain

kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai

Gyan Chand Jain

MORE BYGyan Chand Jain

    kyā batā.eñ aap se kyā hastī-e-insān hai

    aadmī jazbāt-o-ehsāsāt tūfān hai

    ishtirākiyyat mirā diin aur mirā īmān hai

    kaash motor le sakūñ maiñ ye mirā armān hai

    aah is dānish-kade meñ kis qadar hai qaht-e-husn

    jab se aayā huuñ yahāñ bazm-e-nazar vīrān hai

    ye kitābeñ har taraf hoñ butān-e-muntaḳhab

    barguzīda hastiyoñ ek armān hai

    fikr duniyā meñ columbus banā phirtā huuñ maiñ

    ilm pahnā.ī kitnā baḌā faizān hai

    aaj america meñ kal london meñ parsoñ ruus meñ

    aadmī sar-bulandī yahī pahchān hai

    is qadar khaa.e haiñ yāroñ ke bichhaḌ jaane ke daaġh

    dil nahīñ ab ek ḳhākistar-shuda shamshān hai

    jaise jaise baḌh rahā hai merā ohda dostoñ

    vaise vaise ruuh merī aur bhī vīrān hai

    laḌkhaḌātā Thokareñ khātā kidhar jaatā huuñ maiñ

    hai añdherā ghup fazā aur dil-e-sunsān hai

    kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai

    aadmi jazbaat-o-ehsasat ka tufan hai

    ishtirakiyyat mera din aur mera iman hai

    kash motor le sakun main ye mera arman hai

    aah is danish-kade mein kis qadar hai qaht-e-husn

    jab se aaya hun yahan bazm-e-nazar viran hai

    ye kitaben har taraf hon ya butan-e-muntaKHab

    barguzida hastiyon ka ek hi arman hai

    fikr ki duniya mein columbus bana phirta hun main

    ilm ki pahnai ka kitna baDa faizan hai

    aaj america mein kal london mein parson rus mein

    aadmi ki sar-bulandi ki yahi pahchan hai

    is qadar khae hain yaron ke bichhaD jaane ke dagh

    dil nahin ab ek KHakistar-shuda shamshan hai

    jaise jaise baDh raha hai mera ohda doston

    waise waise ruh meri aur bhi viran hai

    laDkhaData Thokaren khata kidhar jata hun main

    hai andhera ghup faza aur dil-e-sunsan hai

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 252)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now