aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya ho gaya kaisi rut palTi mera chain gaya meri nind gai

Fareed Javed

kya ho gaya kaisi rut palTi mera chain gaya meri nind gai

Fareed Javed

MORE BYFareed Javed

    kyā ho gayā kaisī rut palTī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

    khultī nahīñ ab dil kalī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

    maiñ laakh rahūñ yūñhī ḳhāk-basar shādāb raheñ tire shām-o-sahar

    nahīñ us mujhe shikva bhī koī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

    maiñ kab se huuñ aas lagā.e hue ik sham-e-umīd jalā.e hue

    koī lamha sakūñ mile to sahī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

    'jāved' kabhī maiñ shādāñ thā mire saath tarab tūfāñ thā

    phir zindagī mujh se ruuTh ga.ī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

    kya ho gaya kaisi rut palTi mera chain gaya meri nind gai

    khulti hi nahin ab dil ki kali mera chain gaya meri nind gai

    main lakh rahun yunhi KHak-basar shadab rahen tere sham-o-sahar

    nahin us ka mujhe shikwa bhi koi mera chain gaya meri nind gai

    main kab se hun aas lagae hue ek sham-e-umid jalae hue

    koi lamha sakun ka mile to sahi mera chain gaya meri nind gai

    'jawed' kabhi main shadan tha mere sath tarab ka tufan tha

    phir zindagi mujh se ruTh gai mera chain gaya meri nind gai

    Source:

    Silsila Takallum Ka (Pg. e-184 p-182)

    • Author: Fareed Javed
      • Edition: 1980
      • Publisher: Fareed Javed
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now