Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya hua jo sitare chamakte nahin dagh dil ke farozan karo dosto

Sufi Tabassum

kya hua jo sitare chamakte nahin dagh dil ke farozan karo dosto

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    kyā huā jo sitāre chamakte nahīñ daaġh dil ke farozāñ karo dosto

    sub.h-e-ishrat pareshāñ huī so huī shām-e-ġham to na vīrāñ karo dosto

    nā-shanāsāoñ turfa ġham-ḳhvāriyāñ ġham ke māroñ sab se baḌā rog hai

    duur ulfat chāragarī ho na ho pahle is dukh darmāñ karo dosto

    tilmilātī raheñ hijr kulfateñ jām-o-mīnā sar-mastiyāñ kyā huiiñ

    ab ye mai bhī ġhamoñ mudāvā nahīñ ab koī aur sāmāñ karo dosto

    merī ulfat sun sun ke rusvā.iyāñ log karte haiñ aapas meñ sargoshiyāñ

    tum agar ittifāqan suno chup raho mujh pe ye ek ehsāñ karo dosto

    kya hua jo sitare chamakte nahin dagh dil ke farozan karo dosto

    subh-e-ishrat pareshan hui so hui sham-e-gham to na viran karo dosto

    na-shanasaon ki turfa gham-KHwariyan gham ke maron ka sab se baDa rog hai

    dur ulfat ki chaaragari ho na ho pahle is dukh ka darman karo dosto

    tilmilati rahen hijr ki kulfaten jam-o-mina ki sar-mastiyan kya huin

    ab ye mai bhi ghamon ka mudawa nahin ab koi aur saman karo dosto

    meri ulfat ki sun sun ke ruswaiyan log karte hain aapas mein sargoshiyan

    tum agar ittifaqan suno chup raho mujh pe ye ek ehsan karo dosto

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sufi Tabassum

    Sufi Tabassum

    Farida Khanum

    Farida Khanum

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 64)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now