Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya kahen kaise basar hijr ki raaten ki hain

Najeeb Ahmad

kya kahen kaise basar hijr ki raaten ki hain

Najeeb Ahmad

MORE BYNajeeb Ahmad

    kyā kaheñ kaise basar hijr rāteñ haiñ

    'umr bhar chāñd se ik shaḳhs bāteñ haiñ

    kab azānoñ se na ma'amūr thā ka.aba dil

    kab faqīroñ ne qazā ishq-salāteñ haiñ

    terī ḳhushbū se koī ḳhat na havā par likhā

    ḳhushk kis dhuup ne phūloñ davāteñ haiñ

    haar to khel hissa thī magar farq ye hai

    maat se pahle tah ham ne bisāteñ haiñ

    lauT jaate haiñ ye Takrā ke sar-e-sāhil se

    muztarib zehnoñ ne kab paar furāteñ haiñ

    Dolī uTThī na tahī-chashm sitāroñ 'najīb'

    sub.h-e-namnāk ne ruḳhsat ye barāteñ haiñ

    kya kahen kaise basar hijr ki raaten ki hain

    'umr bhar chand se ek shaKHs ki baaten ki hain

    kab azanon se na ma'amur tha kaba dil ka

    kab faqiron ne qaza ishq-salaten ki hain

    teri KHushbu se koi KHat na hawa par likha

    KHushk kis dhup ne phulon ki dawaten ki hain

    haar to khel ka hissa thi magar farq ye hai

    mat se pahle hi tah hum ne bisaten ki hain

    lauT jate hain ye Takra ke sar-e-sahil se

    muztarib zehnon ne kab par furaaten ki hain

    Doli uTThi na tahi-chashm sitaron ki 'najib'

    subh-e-namnak ne ruKHsat ye baraaten ki hain

    Source:

    Pakistani Adab-1994 (Pg. 212)

      • Publisher: Academy Adabiyat Pakistan, Islamabad
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now