aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya karta main ham-asron ne tanha mujh par chhoD diya

Muzaffar Hanfi

kya karta main ham-asron ne tanha mujh par chhoD diya

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    kyā kartā maiñ ham-asroñ ne tanhā mujh par chhoḌ diyā

    sab ne bosa de kar sach bhārī patthar chhoḌ diyā

    Dhīlā paḌtā thā suulī phandā us gardan par

    mere qātil ko munsif ne fidya le kar chhoḌ diyā

    dariyā ke ruḳh bahne vaalī machhlī murda machhlī hai

    us kashtī ḳhair nahīñ hai jis ne lañgar chhoḌ diyā

    sho.aloñ is hamdardī par dil meñ laavā paktā hai

    jab saarī bastī phūñkī thī kyuuñ merā ghar chhoḌ diyā

    sūraj ne bhī soch samajh kar jaal bichhā.e kirnoñ ke

    shabnam shabnam Daaka Daalā aur samundar chhoḌ diyā

    saarā ghar sotā hai do ghanTe meñ aa.egā aḳhbār

    aaj 'muzaffar' pāñch baje kaise bistar chhoḌ diyā

    kya karta main ham-asron ne tanha mujh par chhoD diya

    sab ne bosa de kar sach ka bhaari patthar chhoD diya

    Dhila paDta tha suli ka phanda us ki gardan par

    mere qatil ko munsif ne fidya le kar chhoD diya

    dariya ke ruKH bahne wali machhli murda machhli hai

    us kashti ki KHair nahin hai jis ne langar chhoD diya

    shoalon ki is hamdardi par dil mein lawa pakta hai

    jab sari basti phunki thi kyun mera ghar chhoD diya

    suraj ne bhi soch samajh kar jal bichhae kirnon ke

    shabnam shabnam Daka Dala aur samundar chhoD diya

    sara ghar sota hai do ghanTe mein aaega aKHbar

    aaj 'muzaffar' panch baje hi kaise bistar chhoD diya

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 442)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: 25Edition Nov. Dec. 1986
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now