Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya KHabar apne Thikane ki taraf lauT aae

Aurang zeb

kya KHabar apne Thikane ki taraf lauT aae

Aurang zeb

MORE BYAurang zeb

    kyā ḳhabar apne Thikāne taraf lauT aa.e

    ḳhud-ba-ḳhud tiir nishāne taraf lauT aa.e

    sañg lauT aa.e pahāḌoñ taraf āḳhir-kār

    aa.ine ā.ina-ḳhāne taraf lauT aa.e

    jab khulā un pe ki naqsha mire sandūq meñ hai

    aur kuchh saañp ḳhazāne taraf lauT aa.e

    raat badmast rahe sābit-o-sayyār ke saath

    sub.h hote zamāne taraf lauT aa.e

    gaarā tayyār hai aur chaak bhī maujūd hai ab

    kūza-gar kuuza banāne taraf lauT aa.e

    hijr ko jhelnā āsān kahāñ thā ai dil

    ham mohabbat meñ bahāne taraf lauT aa.e

    bhiik is shahr meñ milnā koī āsān nahīñ

    ya.anī majbūr kamāne taraf lauT aa.e

    aur phir dasht-e-tamannā meñ bhaTakte hue log

    ārzū-mand Thikāne taraf lauT aa.e

    apnā kirdār nibhāne tag-o-tāz meñ 'zeb'

    ham kahānī se fasāne taraf lauT aa.e

    kya KHabar apne Thikane ki taraf lauT aae

    KHud-ba-KHud tir nishane ki taraf lauT aae

    sang lauT aae pahaDon ki taraf aaKHir-kar

    aaine aaina-KHane ki taraf lauT aae

    jab khula un pe ki naqsha mere sanduq mein hai

    aur kuchh sanp KHazane ki taraf lauT aae

    raat badmast rahe sabit-o-sayyar ke sath

    subh hote hi zamane ki taraf lauT aae

    gara tayyar hai aur chaak bhi maujud hai ab

    kuza-gar kuza banane ki taraf lauT aae

    hijr ko jhelna aasan kahan tha ai dil

    hum mohabbat mein bahane ki taraf lauT aae

    bhik is shahr mein milna koi aasan nahin

    yani majbur kamane ki taraf lauT aae

    aur phir dasht-e-tamanna mein bhaTakte hue log

    aarzu-mand Thikane ki taraf lauT aae

    apna kirdar nibhane ki tag-o-taz mein 'zeb'

    hum kahani se fasane ki taraf lauT aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now