Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya KHabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho

Mirza Athar Zia

kya KHabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho

Mirza Athar Zia

MORE BYMirza Athar Zia

    kyā ḳhabar jo nazar aatā hai vo manzar na ho

    ye samundar kahīñ sach-much meñ samundar na ho

    jis ummīd pe sar phoḌ rahī hai duniyā

    kahīñ is āhanī dīvār meñ vo dar na ho

    jaan kar phuul jise dil se lagā.e hue haiñ

    ġhaur se dekh leñ chhū kar use patthar na ho

    dar-o-dīvār se ye kaise nazar aate haiñ

    jis ko vīrāna samajh baiThe haiñ vo ghar na ho

    is qadar ham ko Darānā nahīñ achchhā 'at.har'

    kyā pata ham ko kisī chiiz phir Dar na ho

    kya KHabar jo nazar aata hai wo manzar hi na ho

    ye samundar kahin sach-much mein samundar hi na ho

    jis ki ummid pe sar phoD rahi hai duniya

    kahin is aahani diwar mein wo dar hi na ho

    jaan kar phul jise dil se lagae hue hain

    ghaur se dekh len chhu kar use patthar hi na ho

    dar-o-diwar se ye kaise nazar aate hain

    jis ko virana samajh baiThe hain wo ghar hi na ho

    is qadar hum ko Darana nahin achchha 'athar'

    kya pata hum ko kisi chiz ka phir Dar hi na ho

    Source:

    Abjad-e-ishq (Pg. 51)

    • Author: Mirza Athar Zia
      • Edition: 2017
      • Publisher: Green Pages
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now