Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya milun us se jo mujhko dekh kar lahja sajae

Kamal Jafari

kya milun us se jo mujhko dekh kar lahja sajae

Kamal Jafari

MORE BYKamal Jafari

    kyā milūñ us se jo mujh ko dekh kar lahja sajā.e

    aisī nā-qadrī pe tuf jo ḳhuun ke aañsū rulā.e

    mere lahje latāfat par ḳhafā to hai magar

    jang alfāz se tere ḳhudā mujh ko sajā.e

    zindagānī sazā us sar-phire se pūchhiye

    dev-sūrat sar pe phirtā hai jo bār-e-ġham uThā.e

    haa.e vo muflis javānī jo sisaktī rahe

    haa.e vo kaisī tamanna umr bhar jo bar na aa.e

    dekh kar insāñ pastī daur-e-hāzir meñ 'kamāl'

    haath rakh kar siine par ham kar rahe haiñ haa.e haa.e

    kya milun us se jo mujh ko dekh kar lahja sajae

    aisi na-qadri pe tuf jo KHun ke aansu rulae

    mere lahje ki latafat par KHafa to hai magar

    jang ju alfaz se tere KHuda mujh ko sajae

    zindagani ki saza us sar-phire se puchhiye

    dew-surat sar pe phirta hai jo bar-e-gham uThae

    hae wo muflis jawani jo sisakti hi rahe

    hae wo kaisi tamanna umr bhar jo bar na aae

    dekh kar insan ki pasti daur-e-hazir mein 'kamal'

    hath rakh kar sine par hum kar rahe hain hae hae

    Source:

    Aks-e-Tamnna (Pg. 35)

    • Author: Kamal Jafari
      • Publisher: Kamal Jafari
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now