Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya wasl ki ummid mere dil ko kabhi ho

Nooh Narvi

kya wasl ki ummid mere dil ko kabhi ho

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    kyā vasl ummīd mire dil ko kabhī ho

    us shoḳh tasvīr bhī jab mujh se khiñchī ho

    mujh ko na bulāte haiñ na aate haiñ mire ghar

    afsos hai un se na yahī ho na vahī ho

    ai pīr-e-muġhāñ mujh ko tire sar qasam hai

    tauba to kahāñ tauba niyyat bhī jo ho

    vo mujh se ye kahte haiñ ki mahshar ko milūñgā

    maiñ un se ye kahtā huuñ ki jo kuchh ho abhī ho

    ai 'nūh' hameñ ishq meñ parvā nahīñ is

    āzār ho lutf ho ġham ho ki ḳhushī ho

    kya wasl ki ummid mere dil ko kabhi ho

    us shoKH ki taswir bhi jab mujh se khinchi ho

    mujh ko na bulate hain na aate hain mere ghar

    afsos hai un se na yahi ho na wahi ho

    ai pir-e-mughan mujh ko tere sar ki qasam hai

    tauba to kahan tauba ki niyyat bhi jo ki ho

    wo mujh se ye kahte hain ki mahshar ko milunga

    main un se ye kahta hun ki jo kuchh ho abhi ho

    ai 'nuh' hamein ishq mein parwa nahin is ki

    aazar ho ya lutf ho gham ho ki KHushi ho

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 145)

    • Author: Hasrat Mohani
      • Edition: 1983
      • Publisher: uttar pradesh urdu academy
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now