Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun

Behzad Lakhnavi

kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    kyā ye bhī maiñ batlā duuñ kaun hai maiñ kyā huuñ

    jān-e-tamāshā hai maiñ mahv-e-tamāshā huuñ

    bā.is-e-hastī hai maiñ hāsil-e-hastī huuñ

    ḳhāliq-e-ulfat hai aur maiñ tirā banda huuñ

    jab tak na milā thā ai fitna-e-do-ālam

    jab dard se ġhāfil thā ab dard duniyā huuñ

    kuchh farq nahīñ tujh meñ aur mujh meñ koī lekin

    aur kisī hai bedard maiñ terā huuñ

    muddat huī kho baiThā sarmāya-e-taskīñ maiñ

    ab to tirī furqat meñ din raat taḌaptā huuñ

    armān nahīñ koī go dil meñ mire lekin

    allāh majbūrī majbūr-e-tamannā huuñ

    'bahzād'-e-hazīñ mujh par ik kaif taarī hai

    ab ye mirā aalam hai hañstā huuñ na rotā huuñ

    kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun

    tu jaan-e-tamasha hai main mahw-e-tamasha hun

    tu bais-e-hasti hai main hasil-e-hasti hun

    tu KHaliq-e-ulfat hai aur main tera banda hun

    jab tak na mila tha tu ai fitna-e-do-alam

    jab dard se ghafil tha ab dard ki duniya hun

    kuchh farq nahin tujh mein aur mujh mein koi lekin

    tu aur kisi ka hai bedard main tera hun

    muddat hui kho baiTha sarmaya-e-taskin main

    ab to teri furqat mein din raat taDapta hun

    arman nahin koi go dil mein mere lekin

    allah ri majburi majbur-e-tamanna hun

    'bahzad'-e-hazin mujh par ek kaif sa tari hai

    ab ye mera aalam hai hansta hun na rota hun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now