kyon nahin aae ye mere sar mein
kyoñ nahīñ aa.e ye mire sar meñ
zaḳhm bharte nahīñ december meñ
ġhaur se dekh lūTne vaale
aur kuchh to nahīñ bachā ghar meñ
vaqt-e-āḳhir lagā diyā maiñ ne
zor jitnā bhī thā mire par meñ
ik to duniyā ḳhilāf hai mere
aur tū bhī nahīñ muqaddar meñ
kyā pata kab idhar ḳhizāñ aa.ī
maiñ to khoyā rahā gul-e-tar meñ
jism bāhar paḌā rahā aur maiñ
Duub kar mar gayā samundar meñ
taish meñ aa ga.e miyāñ 'sohil'
aur phir kuchh nahīñ bachā ghar meñ
kyon nahin aae ye mere sar mein
zaKHm bharte nahin december mein
ghaur se dekh luTne wale
aur kuchh to nahin bacha ghar mein
waqt-e-aKHir laga diya main ne
zor jitna bhi tha mere par mein
ek to duniya KHilaf hai mere
aur tu bhi nahin muqaddar mein
kya pata kab idhar KHizan aai
main to khoya raha gul-e-tar mein
jism bahar paDa raha aur main
Dub kar mar gaya samundar mein
taish mein aa gae miyan 'sohil'
aur phir kuchh nahin bacha ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.