Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun dekhiye na husn-e-KHuda-dad ki taraf

Imdad Imam Asar

kyun dekhiye na husn-e-KHuda-dad ki taraf

Imdad Imam Asar

MORE BYImdad Imam Asar

    kyuuñ dekhiye na husn-e-ḳhudā-dād taraf

    lāzim nazar hai gulshan-e-ījād taraf

    paa.e jo tere gosha-e-dastār havā

    qumrī uḌī na turra-e-shamshād taraf

    be-asl ai falak nazar aatā hai mujhe

    kartā huuñ ġhaur jab tirī buniyād taraf

    gulshan meñ kaun bulbul-e-nālāñ ko de panāh

    gulchīñ o bāġhbāñ bhī haiñ sayyād taraf

    mazlūm huuñ magar nahīñ miltā koī gavāh

    haiñ ahl-e-hashr is sitam-ījād taraf

    nādāñ kahīñ panāh nahīñ maut se tujhe

    kyā dekhtā hai qila-e-faulād taraf

    ham-jins ko zarūr hai ham-jins ḳhayāl

    raġhbat na ho bashar ko parī-zād taraf

    mazmūñ kamar haath na aayā jo dahr meñ

    jaanā paḌā mujhe adam-ābād taraf

    taklīf jū-e-shīr de kar jo thī ḳhajil

    shīrīñ na dekh saktī thī farhād taraf

    dīvāngī zor tamāshā hai ai parī

    fassād nigāh hai haddād taraf

    gardan jhukā.e shauq-e-shahādat meñ huuñ ravāñ

    dil le chalā hai kūcha-e-jallād taraf

    umīd-vār chashm-e-ināyat hai ġharīb

    dekho to ik nazar dil-e-nāshād taraf

    nāseh agar sitam na saheñ ham to kyā kareñ

    dil dauḌtā hai yaar be-dād taraf

    bulbul samajh rahī hai ki gulhā-e-ḳhanda-rū

    rakhte haiñ kaan nāla-o-fariyād taraf

    fazl-e-ḳhudā se apnī tabī.at hai be-niyāz

    rū-e-talab kabhī na huā daad taraf

    vaa.iz se sun ke qāmat-e-tauba ḳhūbiyāñ

    dauḌā ḳhayāl ik qad-e-āzād taraf

    bhūle hue haiñ saare zamāne nemateñ

    mailān-e-dil jinheñ hai terī yaad taraf

    shāh-e-jinn-o-ins 'asar' par bhī ik nazar

    rakhtā hai aañkh aap imdād taraf

    kyun dekhiye na husn-e-KHuda-dad ki taraf

    lazim nazar hai gulshan-e-ijad ki taraf

    pae jo tere gosha-e-dastar ki hawa

    qumri uDi na turra-e-shamshad ki taraf

    be-asl ai falak nazar aata hai tu mujhe

    karta hun ghaur jab teri buniyaad ki taraf

    gulshan mein kaun bulbul-e-nalan ko de panah

    gulchin o baghban bhi hain sayyaad ki taraf

    mazlum hun magar nahin milta koi gawah

    hain ahl-e-hashr is sitam-ijad ki taraf

    nadan kahin panah nahin maut se tujhe

    kya dekhta hai qila-e-faulad ki taraf

    ham-jins ko zarur hai ham-jins ka KHayal

    raghbat na ho bashar ko pari-zad ki taraf

    mazmun kamar ka hath na aaya jo dahr mein

    jaana paDa mujhe adam-abaad ki taraf

    taklif ju-e-shir ki de kar jo thi KHajil

    shirin na dekh sakti thi farhad ki taraf

    diwangi ka zor tamasha hai ai pari

    fassad ki nigah hai haddad ki taraf

    gardan jhukae shauq-e-shahadat mein hun rawan

    dil le chala hai kucha-e-jallad ki taraf

    umid-war chashm-e-inayat ka hai gharib

    dekho to ek nazar dil-e-nashad ki taraf

    naseh agar sitam na sahen hum to kya karen

    dil dauDta hai yar ki be-dad ki taraf

    bulbul samajh rahi hai ki gulha-e-KHanda-ru

    rakhte hain kan nala-o-fariyaad ki taraf

    fazl-e-KHuda se apni tabiat hai be-niyaz

    ru-e-talab kabhi na hua dad ki taraf

    waiz se sun ke qamat-e-tauba ki KHubiyan

    dauDa KHayal ek qad-e-azad ki taraf

    bhule hue hain sare zamane ki nematen

    mailan-e-dil jinhen hai teri yaad ki taraf

    ya shah-e-jinn-o-ins 'asar' par bhi ek nazar

    rakhta hai aankh aap ki imdad ki taraf

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now