Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae

Sharaf Mujaddidi

kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae

Sharaf Mujaddidi

MORE BYSharaf Mujaddidi

    kyuuñ dekhte naqsh-ba-dīvār ban ga.e

    tum aa.ine meñ kis ke ḳharīdār ban ga.e

    bijlī chhalāvā fitna qayāmat ġhazab balā

    maiñ kyā kahūñ vo kyā dam-e-raftār ban ga.e

    bāzār-e-dahr to yahī kārobār hai

    do-chār agar bigaḌ ga.e do-chār ban ga.e

    ik sair thī maze ye ārā.ishoñ ke vaqt

    sau baar vo bigaḌ ga.e sau baar ban ga.e

    haañ haañ unhīñ ke pīchhe to hai 'sharaf' ne jaan

    aa kar hañsī-ḳhushī jo azā-dār ban ga.e

    kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae

    tum aaine mein kis ke KHaridar ban gae

    bijli chhalawa fitna qayamat ghazab bala

    main kya kahun wo kya dam-e-raftar ban gae

    bazar-e-dahr ka to yahi karobar hai

    do-chaar agar bigaD gae do-chaar ban gae

    ek sair thi maze ki ye aaraishon ke waqt

    sau bar wo bigaD gae sau bar ban gae

    han han unhin ke pichhe to di hai 'sharaf' ne jaan

    aa kar hansi-KHushi jo aza-dar ban gae

    Source:

    Deewan-e-Sharf Mujaddidi (Pg. 15)

    • Author: Abdul Qadir Mujaddidi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Raees-ul-Matabe, Kanpur
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now