Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kyun zist ka har ek fasana badal gaya

Anand Narayan Mulla

kyun zist ka har ek fasana badal gaya

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    kyuuñ ziist har ek fasāna badal gayā

    ye ham badal ga.e ki zamāna badal gayā

    sayyād yaañ vahī vahī taa.ir vahī haiñ daam

    lekin jo zer-e-dām thā daana badal gayā

    bāzī-e-husn-o-ishq meñ kuchh haar hai na jiit

    nazreñ milīñ diloñ ḳhazāna badal gayā

    baḳht-e-bashar vahī hai bisāt-e-jahāñ vahī

    har daur-e-nau meñ maat ḳhāna badal gayā

    tāqat ke dosh par hai azal se bashar laash

    bas thoḌī thoḌī duur pe shāna badal gayā

    mahfil ke hasb-e-zauq hai mutrib saaz bhī

    mahfil badal ga.ī to tarāna badal gayā

    in dāġh-hā-e-dil meñ koī zaḳhm-e-nau nahīñ

    shāyad kisī nazar nishāna badal gayā

    'mullā' ko zor-e-tab.a huā faisloñ nazr

    dariyā abhī vahī hai dahāna badal gayā

    kyun zist ka har ek fasana badal gaya

    ye hum badal gae ki zamana badal gaya

    sayyaad yan wahi wahi tair wahi hain dam

    lekin jo zer-e-dam tha dana badal gaya

    bazi-e-husn-o-ishq mein kuchh haar hai na jit

    nazren milin dilon ka KHazana badal gaya

    baKHt-e-bashar wahi hai bisat-e-jahan wahi

    har daur-e-nau mein mat ka KHana badal gaya

    taqat ke dosh par hai azal se bashar ki lash

    bas thoDi thoDi dur pe shana badal gaya

    mahfil ke hasb-e-zauq hai mutrib ka saz bhi

    mahfil badal gai to tarana badal gaya

    in dagh-ha-e-dil mein koi zaKHm-e-nau nahin

    shayad kisi nazar ka nishana badal gaya

    'mulla' ko zor-e-taba hua faislon ki nazr

    dariya abhi wahi hai dahana badal gaya

    Source:

    Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 408)

    • Author: Khaliq Anjum
      • Edition: 2010
      • Publisher: National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now