Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lakh usne eatibar dilaya ki aag hai

Aftab Navab

lakh usne eatibar dilaya ki aag hai

Aftab Navab

MORE BYAftab Navab

    laakh us ne e.atibār dilāyā ki aag hai

    lekin yaqīn jal ke aaya ki aag hai

    ḳhātir meñ jab dhueñ ko na laa.e yahāñ ke log

    bastī ko phir havā ne batāyā ki aag hai

    dil ke kivāḌ band na kar paa.e mere yaar

    dāman to sab ne mujh se bachāyā ki aag hai

    ik surḳh lau ne aise mo.attal kiye havās

    ehsās ye ho nahīñ paayā ki aag hai

    lakh us ne eatibar dilaya ki aag hai

    lekin yaqin jal ke hi aaya ki aag hai

    KHatir mein jab dhuen ko na lae yahan ke log

    basti ko phir hawa ne bataya ki aag hai

    dil ke kiwaD band na kar pae mere yar

    daman to sab ne mujh se bachaya ki aag hai

    ek surKH lau ne aise moattal kiye hawas

    ehsas hi ye ho nahin paya ki aag hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now