Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui

Azad Gulati

lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui

Azad Gulati

MORE BYAzad Gulati

    lamha lamha ik na.ī sa.ī-e-baqā kartī huī

    kaT rahī hai zindagī ḳhud ko fanā kartī huī

    terī chup hai mire andar machā kohrām hai

    koī shai to hai zabāñ ko be-navā kartī huī

    apne andar reza reza TuuT kar bikhrā huuñ maiñ

    hai ye kyā shai chor dil aa.inā kartī huī

    kisht-e-jāñ se din ko kaTtī hai na.e zaḳhmoñ fasl

    raat aatī hai inheñ phir se harā kartī huī

    mere hone se na hone sabab paidā huā

    mujh ko hastī thī ḳhud mujh se judā kartī huī

    maut to 'āzād' hai āzādiyoñ ik jahāñ

    zindagī hai har nafas ḳhud ko rihā kartī huī

    lamha lamha ek nai sai-e-baqa karti hui

    kaT rahi hai zindagi KHud ko fana karti hui

    teri chup hai ya mere andar macha kohram hai

    koi shai to hai zaban ko be-nawa karti hui

    apne andar reza reza TuT kar bikhra hun main

    hai ye kya shai chor dil ka aaina karti hui

    kisht-e-jaan se din ko kaTti hai nae zaKHmon ki fasl

    raat aati hai inhen phir se hara karti hui

    mere hone se na hone ka sabab paida hua

    mujh ko hasti hi thi KHud mujh se juda karti hui

    maut to 'azad' hai aazadiyon ka ek jahan

    zindagi hai har nafas KHud ko riha karti hui

    Source:

    Aab-e-Sharab (Pg. 25)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now