Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

liya hai kis qadar saKHti se apna imtihan humne

Aziz Bano Darab Wafa

liya hai kis qadar saKHti se apna imtihan humne

Aziz Bano Darab Wafa

MORE BYAziz Bano Darab Wafa

    liyā hai kis qadar saḳhtī se apnā imtihāñ ham ne

    ki ik talvār rakh zindagī ke darmiyāñ ham ne

    hameñ to umr bhar rahnā thā ḳhvāboñ ke jazīroñ meñ

    kināroñ par pahuñch kar phūñk Dālīñ kashtiyāñ ham ne

    hamāre jism kyā saa.e tak jismoñ ke zaḳhmī haiñ

    diloñ meñ ghoñp liiñ haiñ raushnī barchhiyāñ ham ne

    hameñ jā.egī phāñsī hamāre apne jismoñ meñ

    ujāḌī haiñ tamannāoñ lākhoñ bastiyāñ ham ne

    vafā ke naam par pairā kiye kachche ghaḌe le kar

    Duboyā zindagī ko dāstāñ-dar-dāstāñ ham ne

    liya hai kis qadar saKHti se apna imtihan hum ne

    ki ek talwar rakh di zindagi ke darmiyan hum ne

    hamein to umr bhar rahna tha KHwabon ke jaziron mein

    kinaron par pahunch kar phunk Dalin kashtiyan hum ne

    hamare jism hi kya sae tak jismon ke zaKHmi hain

    dilon mein ghonp lin hain raushni ki barchhiyan hum ne

    hamein di jaegi phansi hamare apne jismon mein

    ujaDi hain tamannaon ki lakhon bastiyan hum ne

    wafa ke nam par paira kiye kachche ghaDe le kar

    Duboya zindagi ko dastan-dar-dastan hum ne

    Source:

    Goonj (Pg. 69)

    • Author: Aziz Bano Darab Wafa
      • Edition: 2009
      • Publisher: Educational Book House, Aligarah
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now