Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

luT jae chaman gul ka tabassum nahin bikta

Amir Mausavi

luT jae chaman gul ka tabassum nahin bikta

Amir Mausavi

MORE BYAmir Mausavi

    luT jaa.e chaman gul tabassum nahīñ biktā

    sau daam hoñ bulbul tarannum nahīñ biktā

    bik jaatā hai zardār ulfat tayaqqun

    nādār chāhat tavahhum nahīñ biktā

    baḌhtī hai baḌhe garmī-e-bāzār havas

    lab bikte haiñ ai dost tabassum nahīñ biktā

    lab do zabāñ khīñch do suulī pe chaḌhā do

    haq-go zamāne meñ takallum nahīñ biktā

    hālāt ne kar rakkhā ho mahkūm bhī 'āmir'

    ḳhuddār irādoñ tahakkum nahīñ biktā

    luT jae chaman gul ka tabassum nahin bikta

    sau dam hon bulbul ka tarannum nahin bikta

    bik jata hai zardar ki ulfat ka tayaqqun

    nadar ki chahat ka tawahhum nahin bikta

    baDhti hai baDhe garmi-e-bazar hawas ki

    lab bikte hain ai dost tabassum nahin bikta

    lab si do zaban khinch do suli pe chaDha do

    haq-go ka zamane mein takallum nahin bikta

    haalat ne kar rakkha ho mahkum bhi 'amir'

    KHuddar iradon ka tahakkum nahin bikta

    Source:

    Tar-e-Nafas (Pg. 32)

    • Author: Amir Mausavi
      • Publisher: National Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1977
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now