Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta

Ghulam Rabbani Taban

lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta

Ghulam Rabbani Taban

MORE BYGhulam Rabbani Taban

    lutf rabt hai koī na jafā rishta

    dil se kuchh duur hai zālim anā rishta

    dast-e-īsā bhī vahī bāzū-e-qātil bhī vahī

    kitnā nāzuk hai charāġhoñ se havā rishta

    jabr-e-hālāt kaho ġham mukāfāt kaho

    TuuT bhī jaatā hai hoñToñ se navā rishta

    sochiye to sabhī apne haiñ koī ġhair nahīñ

    hākim-e-shahr se hai jurm-o-sazā rishta

    manzar-e-zīst meñ kuchh rañg to bhar detā hai

    ḳhār-zāroñ se kisī ābla-pā rishta

    phuul nāyāb sahī zaḳhm to nāyāb nahīñ

    aaj bhī dil se vahī āb-o-havā rishta

    kyā kareñ rasm-e-zamāna shikāyat 'tābāñ'

    dard se rakhte haiñ ham log sadā rishta

    lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta

    dil se kuchh dur hai zalim ki ana ka rishta

    dast-e-isa bhi wahi bazu-e-qatil bhi wahi

    kitna nazuk hai charaghon se hawa ka rishta

    jabr-e-haalat kaho gham ki mukafat kaho

    TuT bhi jata hai honTon se nawa ka rishta

    sochiye to sabhi apne hain koi ghair nahin

    hakim-e-shahr se hai jurm-o-saza ka rishta

    manzar-e-zist mein kuchh rang to bhar deta hai

    KHar-zaron se kisi aabla-pa ka rishta

    phul nayab sahi zaKHm to nayab nahin

    aaj bhi dil se wahi aab-o-hawa ka rishta

    kya karen rasm-e-zamana ki shikayat 'taban'

    dard se rakhte hain hum log sada ka rishta

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 264)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now