Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lutf kya hai be-KHudi ka jab maza jata raha

Shad Azimabadi

lutf kya hai be-KHudi ka jab maza jata raha

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    lutf kyā hai be-ḳhudī jab mazā jaatā rahā

    yuuñ na mānūñ maiñ magar sāġhar to samjhātā rahā

    taaq se miinā utārā paañv meñ laġhzish huī

    na saaqī se barābar aañkh sharmātā rahā

    mujh ho mazbūt dil tab mai-kashī naam le

    mohtasib dekhā kiyā majbūr jhhallātā rahā

    kyā karūñ aur kis tarah us be-qarārī ilaaj

    yaar ke kūche meñ bhī to dil bahlātā rahā

    naujavāñ qātil ko achchhī dil-lagī haath aa ga.ī

    jab talak kuchh dam rahā bismil ko Thukrātā rahā

    'shād' vaqt-e-naz.a thā ḳhāmosh lekin der tak

    naam rah rah kar kisī zer-e-lab aatā rahā

    lutf kya hai be-KHudi ka jab maza jata raha

    yun na manun main magar saghar to samjhata raha

    taq se mina utara panw mein laghzish hui

    ki na saqi se barabar aankh sharmata raha

    mujh sa ho mazbut dil tab mai-kashi ka nam le

    mohtasib dekha kiya majbur jhhallata raha

    kya karun aur kis tarah us be-qarari ka ilaj

    yar ke kuche mein bhi to dil ka bahlata raha

    naujawan qatil ko achchhi dil-lagi hath aa gai

    jab talak kuchh dam raha bismil ko Thukraata raha

    'shad' waqt-e-naza tha KHamosh lekin der tak

    nam rah rah kar kisi ka zer-e-lab aata raha

    Source:

    Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 161)

    • Author: Shad Azimabadi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now