Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lu ke mausam mein bahaaron ki hawa mangte hain

Ali Sardar Jafri

lu ke mausam mein bahaaron ki hawa mangte hain

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    ke mausam meñ bahāroñ havā māñgte haiñ

    ham kaf-e-dast-e-ḳhizāñ par bhī hinā māñgte haiñ

    ham-nashīñ sāda-dilī-hā-e-tamannā mat pūchh

    be-vafāoñ se vafāoñ sila māñgte haiñ

    kaash kar lete kabhī ka.aba-e-dil bhī tavāf

    vo jo patthar ke makānoñ se ḳhudā māñgte haiñ

    jis meñ ho satvat-e-shāhīn parvāz rañg

    lab-e-shā.ir se vo bulbul navā māñgte haiñ

    taaki duniyā pe khule un fareb-e-insāf

    be-ḳhatā ho ke ḳhatāoñ sazā māñgte haiñ

    tīrgī jitnī baḌhe husn ho afzūñ terā

    kahkashāñ maañg meñ māthe pe ziyā māñgte haiñ

    ye hai vāraftagī-e-shauq aalam 'sardār'

    bārish-e-sañg hai aur bād-e-sabā māñgte haiñ

    lu ke mausam mein bahaaron ki hawa mangte hain

    hum kaf-e-dast-e-KHizan par bhi hina mangte hain

    ham-nashin sada-dili-ha-e-tamanna mat puchh

    be-wafaon se wafaon ka sila mangte hain

    kash kar lete kabhi kaba-e-dil ka bhi tawaf

    wo jo patthar ke makanon se KHuda mangte hain

    jis mein ho satwat-e-shahin ki parwaz ka rang

    lab-e-shair se wo bulbul ki nawa mangte hain

    taki duniya pe khule un ka fareb-e-insaf

    be-KHata ho ke KHataon ki saza mangte hain

    tirgi jitni baDhe husn ho afzun tera

    kahkashan mang mein mathe pe ziya mangte hain

    ye hai waraftagi-e-shauq ka aalam 'sardar'

    barish-e-sang hai aur baad-e-saba mangte hain

    Source:

    Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 517)

    • Author: Ali Ahmad Fatmi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now