Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maddah hun main dil se mohammad ki aal ka

Aagha Akbarabadi

maddah hun main dil se mohammad ki aal ka

Aagha Akbarabadi

MORE BYAagha Akbarabadi

    maddāh huuñ maiñ dil se mohammad aal

    mushtāq huuñ vasī-e-nabī ke jamāl

    ḳhvāhāñ guhar huuñ na maiñ tālib huuñ laal

    mushtāq huuñ tumhāre dahan ke ugaal

    dekho to ek pe Thahartī nahīñ nazar

    lapkā paḌā hai aañkh ko kyā dekh-bhāl

    kyā un se faiz pahuñche jo ḳhud tīra-baḳht haiñ

    khilte na dekhā ham ne kabhī phuul Dhaal

    ham haiñ faqīr daulat-e-duniyā se kaam kyā

    behtar hai jām-e-jam se piyāla sifāl

    daana dikhā ke daam meñ anqā ko lā.ūñgā

    mazmūn likh rahā huuñ tire ḳhat-o-ḳhāl

    sau jaan se fidā huuñ mohammad ke naam par

    jis ne batāyā farq harām o halāl

    vo aañkh bhī uThā ke hameñ dekhte nahīñ

    rutba pahuñch gayā hai ye ranj-o-malāl

    kis zindagī ke vāste daulat aarzū

    dekho natīja ġhaur se qārūñ ke maal

    iqbāl gar nahīñ hai inkār kījiye

    kuchh dījiye javāb hamāre savāl

    muTThī ko khol kar yad-e-baizā dikhāte haiñ

    nāḳhun pe un ke hotā hai dhokā hilāl

    shā'ir ġhazab ke hote haiñ hargiz na chūkte

    mauqa' nahīñ dahan meñ tire qīl-o-qāl

    ai rashk-e-mehr vasl meñ ġhussa hai kis liye

    ye vaqt merī jaan nahīñ hai jalāl

    tārīkī-e-lahad se kuchh 'āġhā' na ḳhauf kar

    dāman hai tere haath meñ zahrā ke laal

    maddah hun main dil se mohammad ki aal ka

    mushtaq hun wasi-e-nabi ke jamal ka

    KHwahan guhar ka hun na main talib hun lal ka

    mushtaq hun tumhaare dahan ke ugal ka

    dekho to ek ja pe Thaharti nahin nazar

    lapka paDa hai aankh ko kya dekh-bhaal ka

    kya un se faiz pahunche jo KHud tira-baKHt hain

    khilte na dekha hum ne kabhi phul Dhaal ka

    hum hain faqir daulat-e-duniya se kaam kya

    behtar hai jam-e-jam se piyala sifal ka

    dana dikha ke dam mein anqa ko launga

    mazmun likh raha hun tere KHat-o-KHal ka

    sau jaan se fida hun mohammad ke nam par

    jis ne bataya farq haram o halal ka

    wo aankh bhi uTha ke hamein dekhte nahin

    rutba pahunch gaya hai ye ranj-o-malal ka

    kis zindagi ke waste daulat ki aarzu

    dekho natija ghaur se qarun ke mal ka

    iqbaal gar nahin hai tu inkar kijiye

    kuchh dijiye jawab hamare sawal ka

    muTThi ko khol kar yad-e-baiza dikhate hain

    naKHun pe un ke hota hai dhoka hilal ka

    sha'ir ghazab ke hote hain hargiz na chukte

    mauqa' nahin dahan mein tere qil-o-qal ka

    ai rashk-e-mehr wasl mein ghussa hai kis liye

    ye waqt meri jaan nahin hai jalal ka

    tariki-e-lahad se kuchh 'agha' na KHauf kar

    daman hai tere hath mein zahra ke lal ka

    Source:

    Deewan-e-Aagha (Pg. ebook-3 page-3)

      • Publisher: Matba Ejaz Mohammadi, Agra
      • Year of Publication: 1886
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now