Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bhi kya karta ki isko bewafa hona hi tha

Masoom Ansari

main bhi kya karta ki isko bewafa hona hi tha

Masoom Ansari

MORE BYMasoom Ansari

    maiñ bhī kyā kartā ki is ko bevafā honā thā

    zindagī ko ek din mujh se judā honā thā

    har duā ko mere haq meñ bad-duā honā thā

    ab kisī se kyā gila jo kuchh huā honā thā

    apne be-ta.abīr ḳhvāboñ jalan kis se kahūñ

    is gulābī shahr ko ātish-kada honā thā

    phir bhī paanī mujhe qīmat adā karnī paḌī

    mere lab par tishnagī zā.iqa honā thā

    maut ke be-rahm hāthoñ ko bahāne talāsh

    zindagī ke saath koī hādisa honā thā

    maiñ bahut hassās huuñ is meñ kisī kyā qusūr

    aa.ina ban kar mujhe sañg-āshnā honā thā

    maiñ ne apne saare nāḳhun kaaT Daale the magar

    zaḳhm ko 'ma.asūm' dobāra harā honā thā

    main bhi kya karta ki is ko bewafa hona hi tha

    zindagi ko ek din mujh se juda hona hi tha

    har dua ko mere haq mein bad-dua hona hi tha

    ab kisi se kya gila jo kuchh hua hona hi tha

    apne be-tabir KHwabon ki jalan kis se kahun

    is gulabi shahr ko aatish-kada hona hi tha

    phir bhi pani ki mujhe qimat ada karni paDi

    mere lab par tishnagi ka zaiqa hona hi tha

    maut ke be-rahm hathon ko bahane ki talash

    zindagi ke sath koi hadisa hona hi tha

    main bahut hassas hun is mein kisi ka kya qusur

    aaina ban kar mujhe sang-ashna hona hi tha

    main ne apne sare naKHun kaT Dale the magar

    zaKHm ko 'masum' dobara hara hona hi tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now