main dariyaon ka sina chirta kya
maiñ dariyāoñ kā siina chīrtā kyā
mirī lalkār kyā merā 'asā kyā
vo andar se ba-zāhir mar chukā hai
zabāñ se ye nahīñ kahtā huā kyā
zarā sī der ko aayā hai milne
tamannā.eñ magar dil meñ haiñ kyā kyā
mirā ghar jal chukā to yaar mere
ye mujh se pūchhne aa.e bachā kyā
vo ab miltā nahīñ hai muskurā kar
na-jāne ho ga.ī mujh se ḳhatā kyā
dhuāñ kyoñ har taraf se uTh rahā hai
hamārā shahr saarā jal gayā kyā
badan shaffāf thā shīshe sā jis kā
vo ā.īne meñ 'āsim' dekhtā kyā
main dariyaon ka sina chirta kya
meri lalkar kya mera 'asa kya
wo andar se ba-zahir mar chuka hai
zaban se ye nahin kahta hua kya
zara si der ko aaya hai milne
tamannaen magar dil mein hain kya kya
mera ghar jal chuka to yar mere
ye mujh se puchhne aae bacha kya
wo ab milta nahin hai muskura kar
na-jaane ho gai mujh se KHata kya
dhuan kyon har taraf se uTh raha hai
hamara shahr sara jal gaya kya
badan shaffaf tha shishe sa jis ka
wo aaine mein 'asim' dekhta kya
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 86)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.