Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah

Kumar Pashi

main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah

Kumar Pashi

MORE BYKumar Pashi

    maiñ DhūñDhtā huuñ jise aaj bhī havā tarah

    vo kho gayā hai ḳhalā meñ mirī sadā tarah

    na pūchh mujh se mirā qissa-e-zavāl-e-junūñ

    maiñ pāniyoñ pe barastā rahā ghaTā tarah

    tamām umr rahā huuñ maiñ jism meñ mahsūr

    tamām umr kaTī hai mirī sazā tarah

    utaar de koī mujh par se ye badan ridā

    ki maar Daale mujhe bhī mire ḳhudā tarah

    nikhartā jaa.e yūñhī rañg-e-shām ai 'pāshī'

    bikhartā jā.ūñ yuuñ maiñ gul-e-navā tarah

    main DhunDhta hun jise aaj bhi hawa ki tarah

    wo kho gaya hai KHala mein meri sada ki tarah

    na puchh mujh se mera qissa-e-zawal-e-junun

    main paniyon pe barasta raha ghaTa ki tarah

    tamam umr raha hun main jism mein mahsur

    tamam umr kaTi hai meri saza ki tarah

    utar de koi mujh par se ye badan ki rida

    ki mar Dale mujhe bhi mere KHuda ki tarah

    nikharta jae yunhi rang-e-sham ai 'pashi'

    bikharta jaun yun hi main gul-e-nawa ki tarah

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 473)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now